Monday 13 January 2020

Wo Ghar Ke Hukm Jahaa Fatema Ke Chaltey Hain Lyrics


Wo Ghar Ke Hukm Jahaa Fatema Ke Chaltey Hain Lyrics

Manqabat khuwan: Mir Hassan Mir
Writer: Mir Taqalum Mir


Wo Ghar ke hukm jahaa fatema ke chaltey hain
Tamaam kaam wahii se khuda ke chaltey hainn

1.    Ye kaisi raah guzar hain ye kaunsa darr hain
Ke Mustafa bhi yahaa sarr Jhukaakey chaltey hainn

2.    Jabee'n pey fakhr se roomaal e sayyada baandhey
Amaamey waalo mey hurr muskuraakey chaltey hain

3.    Ke jaisey haath mey almaaida kasoora ho
Malak Yu rotiya Teri uthaakey chaltey hain

4.    Banaa na ley koi dunya uthaakey Wo mitti
Yu naksh e paa Terey Hyder chupaakey chaltey hain

5.    Aye hurr na ghabraa ye karbobala ki bastii hain
Yahaa pey faisley aaley abaa ke chaltey hain

6.    Ye Terey faaqo ka sadqa hain aye Husain ki maa
Jo Ghar sukoon se ahley aza ke chaltey hain

7.    Kahaa ajal se takallum Ney intezaar Karo
Sanaa e fatema Zehra sunaakey Chaltey hain


Sunday 12 January 2020

Haye Baad-e-Rasool Ummat Nai Lyrics


Haye Baad-e-Rasool Ummat Nai Lyrics

Noha: Haye Baad-e-Rasool Ummat Nai Fatima Ko Bohat Sataya Hay.
Writer: Katri-Bawa.

Haye Baad-e-Rasool Ummat Nai Fatima Ko Bohat Sataya Hay.
Us Kay Ghaar Ko Jalanay Aayei Hain, Jis Kay Ghaar Main Quran Aaya Hay.

1.    Bharay Darbaar Main Musalmaan Nay Dono Jhutla Diye Hain Laal Us Kay
Jaanay Kaisa Salook Kaar Dala Pal May Ho Gayai Safaid Baal Us Kay
Girr Kay Bayhosh Ho Gaye Zahra, Haal Zainab Ko Jab Sunaya Hay.

2.    Boli Fizza Issay Rulao Na Jhirkiyan Do Na Kuch Toh Sharam Karo
Dekh Jis Ko Nabhi Kharay Rehtay Us Ko Darbaar Main Khara Na Karo
Royi Jab Ladli Muhammad Ki, Sara Darbaar Muskaraya Hay.

3.    Teri Himmat Ka Naam Hai Zainab Aur Shabbir Hai Sabar Tera
Teray Aansu Sajaad Kay Aansu, Aur Sakina Main Hai Asaar Tera
Teray Bachon Nay Bibi Teri Tarha, Zulam Seh Kay Yeh Deen Bachaya Hay.

4.    Jo Ajar Syedan Nay Hay Paaya Kaisay Koyi Lagaiay Andaaza
Jab Musalmano Nay Kiya Humla Yun Laaga Fatima Ko Darvaza
Zakhmi Pehloon Say Paak Bibi Nay, Markay Bi Haath Na Uthaya Hay.

5.    Na Hassan Daar Hai Koyi Mehshar Ka Aur Nah Khauf Hai Jahanum Ka
Hum Azadaron Ko To Bus Bibi Aasara Hay Bohat Teray Ghum Ka
Kasam Ghazi Ki Khush Naseeb Hay Woh, Jis Kay Dil Main Yeh Ghum Samaya Hay.